Wednesday, 1 October 2014

"Waqt kahta hai"

waqt kahta hain main fhir na aaunga..... teri aankhon ko fhr na rulaunga.....jeena hain to iss pal ko jeelo khulke.....main kal tak ruk na paaunga.....mushkurana hain to khulke ke mushkuraalo abhi.....kal ki kal dekhenge na socho abhi.....rone ko to saari umar padi hain.....har kisi ko gum to khushi bhi mili hain.....par tere chehre pe ye jo mushkaan hain.....Teri zindagi roshan kar jaayegi.....jaane mat dena isse fhr kbhi.....ye laut ke phr na aayegi.....ye mushkile takleefe sab aate rhte hain.....waqt ke sath jakhm bharne lagte hain.....kya hua jo khoya hain maine bahut kuch.....kisi ke paas hone pe khush bhi rhte hain.....kab tak gum ko khamosi ke piche chupa ke rakhunga.....kab tak ashqon ko bacha ke rakhunga.....inke behne se hum hi bheegte hain.....aur na chaah ke bhi beete palon ko yaad krte hain.....jo bhul hui use sudhar lenge.....jo bhool gaye unhe bhula denge.....jis daur se guzar rhe hum aur main abhi.....uske har ek pal mein basi hain zindagi.....jawab dhundane jo baitha main abhi.....zindagi sawal ban jaayegi.....jin palon mein simati hain meri zindagi.....unpe fir aasuon ki bauchaar aayegi.....to behtar hoga abhi jo hain usse dakhlun.....jo kho gaya kahin uska gum na karun.....baaki to har subh ki shaam bhi hoti hain.....par shaam ki subh bhi hoti hain.....jab tak saanse hain chal rhi tab tak hi mushkura lun.....

No comments:

Post a Comment