log kehte hain ki tu kyu peeta hain....
jo tujhe jeete jee maare aisi lat kyun paalata hain....
main muskurakar bas yuhi taal diya krta hu....
vo puchte rehte hain tu kyun piya karta hain....
kya bayaan karu, apna kaise samjhaaun unhe....
har ek kash ki kahani kya batlaaun unhe...
keh deta hun ki bas ek kamzori samjhna meri....
apni pehchaan chupaane ki aadat samjhna meri....
samjhna ki kuch batane se darta hun....
samjh lena ki darr ko dikhaane se darta hun...
kbhi bheed mein ozhil hone se darta hun...
to kbhi apne ko dhue mein chupaaya sa karta hu.
kbhi apni narazgi ko pyaar mein badlne ke liye...
kbhi iss dhokhebaaz duniyan mein jeene ke liye....
kbhi doston ne dhokha diya use yaad krne ke liye.....
kbi zindagi aur maut ke beech jhulte hue khud ko bachaane ke liye....
main har pal issi dhue mein jiya krta hun har kash mein khud se lada krta hun....
jab bhi khud se samjhauta kiya karta hun...
apne guroor ko asmaan se yun zameen pe patka krta hun....
jab chaah ke bhi beshara bebas sa mehsus krta hun....
jab bhi khud ko ladkhdaata dekhta hun....
shayad duniyan ise ek gandi aadat samjhe....
par main issi ke sahaare roke bhi hasa karta hun....
kbi apne,sath naa de paaye to akelapan door kiya krta hun....
main iss bebasi ko har ek kash mein bayaan karta hun..
.
baaki to shauk ki baat hain kya pta kal main bhi chhod dun....
kisi aur ne sahara diya to isse nata tod lu....
par abhi ke liye main peeya krta hun.....
issi dhuee mein zindagi ke kashmakas se lada karta hun.....
No comments:
Post a Comment