Saturday, 20 September 2014

Those childhood days

Wo udte parinday ko dekh mujhe apna bachpan yaad aa gaye,
kabhi hum bhi aise udte the, aaj sochte he jaise baadal chaa gaya hai.

Kya to din the wo, kya to zindagi hua karti thi,
wo ghar ki teesri seedi se chalaang maarne me bhi khushi mila karti thi.

Wo paani ki bottle gale me daalkar school jaya karte the,
aur subah subah ghar waale bus stop tak chodne aya karte the.

duniya ko dekh har din kya kya sapne sajaya karte the,
bas unke baare me soch he khushi se jhoom jaya karte the.

Wo school ki choti choti si ladai me kya kya bol jaate the,
aaj samajh ata hai, kya pagal the hum, kaise gul khilaate the.

Wo ghar aakar garam garam khaana khaane ko milta tha,
Us khaane ka kya bolun, ek alag he maza hua karta tha.

Sham ko doston ke saath khelne ke plan banate the,
Sabse badi tension "ground khali ho" ke baare me sochte reh jaate the.

Parikshaon ke samay to jo haalat khraab hoti thi,
bas wo maa ka bolna ki, beta ho jayega se he santushti mila karti thi.

Kuch aisi he thi wo zindagi, najaane kahan chali gyi.
Abhi kal he to jee rahe the, kahin gayab si ho gayi.

Ab pairon pe khade ho rahe hain, to sab samajh ata hai.
Chote tha, bhole the, wo bachpan ab nazar naa ata hai.

Aisa nhi hai ki sapne dekhne bhool gaye hai ab,
Wo dekhne ka asli nazariya nazar nhi ata hai.

Is tez daudti zindagi ke jhamele me,
najaane kya kya peeche choot jata hai.

Bas kuch pal hote hai jab achank sab yaad ata hai,
Usi me thoda muskura lete hai, usi lamhe ko yaad kar aaj ek aur din nikal jata hai.

No comments:

Post a Comment