Saturday, 27 September 2014

My life memories

waqt na jaane kab ret ki tarah fhisal gaya...
bachphan kab beet gyaa ehsaas hi ni hua...
kab humaari badmaashiyan galtiyan ban gayi...
humaari chhoti chhoti farmaayisen zidd ban gayi...
vo raat ko kahaani sunke hi sone ki aadat badal gayi...
vo fizul waqt bitaane ke liye waqt ki kami pad gayi...
yaad aati hain vo bachpan ki galiyan...
vo masti ke din aur saari badmaashiyan...
vo din bhar khelna aur sabko sataana...
Iss matlabi duniyan mein bematlab pyaar krna...
gaadi mein seeshe ke paas baithne ko ladna...
Har gaadi se aage niklte waqt dusron ko chidhaana...
Chaand sath chal rha hain dekh ke mann mein mushkuraana...
Vo har mele mein jaane ki zidd krna...
Vo har dukaan pe naye khilaaune ki farmaaish krna...
Fhir bi Kisi aur ke khilaaune dekh ke andar hi andar jalna...
Vo kahin jaane ki khushi mein din bhar sapne bunanaa...
School jaane ke naam pe neend ka natak krna...
Nayi pencil class mein sabko dikhaana...
Shaam tak uske hazar tukde kar laut ke aana...
Kisike daatne pe maasoom sa chehra banaana...
Vo sabzi achi na lagne pe dusre ki plate mein dhire se rkhana...
Vo kulfi waale ki ghanti sunaai dete hi darwaaze ki taraf bhaagna...
Padhai ke naam pe sapno ki duniyan ghumnaa...
Raat ko pitne ke baad hi kaam pure krnaa...
Vo baarish ke paani mein naaw banaana....
Vo kagaz ke jahaaz mein puri duniyan ghum lena....
Oos mein har gaadi pe apne naam likhna...
ret mein apne sapno ka aashiyaan banaana....
Vo halke se dard mein bhi zor se chilaana..
Sabka pyaar paake khud ko sukoon dilaana...
Na maathe pe sikan thi na kaam ka bozjh...
Na bhaagne ki jldii thi ekdum sayaani thi soch...
Palak jhapakte hi ozhil hogya apna bachpan....
Yaad aate hi tez ho jaati hain dilon ki dhadkan....
Kaash Waqt ki paawandi na hoti aur bade hone ki bandish na hoti...
to cheen laata khuda se vo beeta hua zamaana...
Fhir se jeeke usme dhoonta apni masoomiyat ka khajaana...
Dheere dheere bade hue aur kaabil hue hum,
Achanak ek angel ka life me aa jana,
Vo masti aur sharartein aur ghumna phirna...
Usne har paresani se nikalna sikhaya,har waqt zindagi jeene ka matlab sikhaya...
Kai dhokhe mile is matlabi duniya me,
Sabko selfish paakar mera use karte hue bhi bhaut paya..
Phir us angel ne mera haath pakda,sambhala...
Zindagi ke har mod pe saath chalne ka vaada bhi kiya...
Har dukho ko baata usne,
Dosti ke dhokhe jo hue usme usne thama mujhe,
Zindagi me behatar insaan banna sikhaya usne ,
Par na jaane aaj udas kyu hai vo,
Aaj har pal aankhe uski nam hai kyu..
Usko zindagi me paake khush hu main,
Par tabhi waqt ne karvat li,
Haste khelte waqt ko le gaya koi..
Aaj main aur meri tanhai sab yaad karti hai...
Phir se pahle jaisa majboot banne ki hasta hua rahne ki ichha karti hai.
Par aaj bas unhe yaad krke mushkuraa liya krta hun...
Iss bematlb berehem duniyan mein fhir wahi pal jeene ki koshis kiya krta hun....

No comments:

Post a Comment